Shimla

Aaj Mil Sab Geet Gao

आज मिल सब गीत गाओ

आज मिल सब गीत गाओ,
उस प्रभु के धन्यवाद।
जिसका यश नित गाते हैं,
गन्धर्व मुनिजन धन्यवाद ॥ १ ॥

मन्दिरों में कन्दरों में,
पर्वतों के शिखर पर।
देते हैं लगातार सौ-सौ बार,
मुनिवर धन्यवाद ॥ २ ॥

करते हैं जंगल में मंगल,
पक्षिगण हर शाख पर।
पाते हैं आनन्द मिल,
गाते हैं स्वरभर धन्यवाद ॥ ३ ॥

कूप में तालाब में,
सागर की गहरी धार में।
प्रेम-रस में तृप्त हो,
करते हैं जलचर धन्यवाद ॥ ४ ॥

शादियों में कीर्तनों में,
यज्ञ और उत्सव के आदि।
मीठे स्वर से चाहिए,
करें नारी-नर सब धन्यवाद ॥ ५ ॥

गान कर ‘अमींचन्द’,
भजनानन्द ईश्वर-स्तुति ।
ध्यान धर सुनते हैं श्रोता,
कान धर-धर धन्यवाद ॥ ६ ॥

Aaj Mil Sab Geet Gao

Aaj mil sab geet gao,
us prabhu ke dhanyavaad.
Jiska yash nit gaate hain,
gandharv munijan dhanyavaad.

Mandiron mein kandaron mein,
parvaton ke shikhar par.
Dete hain lagataar sau-sau baar,
munivar dhanyavaad.

Karte hain jungle mein mangal,
pakshigan har shaakh par.
Paate hain aanand mil,
gaate hain svarbhar dhanyavaad.

Koop mein taalaab mein,
saagar ki gahari dhaar mein.
Prem-ras mein tript ho,
karte hain jalchar dhanyavaad.

Shaadiyon mein keertanon mein,
yagya aur utsav ke aadi.
Meethe svar se chaahiye,
karein naari-nar sab dhanyavaad.

Gaan kar ‘Amichand’
bhajanaanand ishvar-stuti.
Dhyaan dhar sunte hain shrota,
kaan dhar-dhar dhanyavaad.

Arya Samaj Popular Bhajan's

Arya Samaj Pandit Ji
Arya Samaj Pandit Ji

Arya Samaj Pandit Ji

Typically replies within 5 min

I will be back soon

Arya Samaj Pandit Ji
Hello 👋 Thanks for your interest in us. Before we begin, may I know your Name, Location and Query ?
Chat or Call Us:
chat