Shimla

Bandhan se chhootne waale

बन्धन से छूटने वाले

बन्धन से छूटने वाले जन तो
परमानन्द को पाते हैं
सत्कर्म के अपने जीवन से
इस लोक से वो तर जाते हैं
बन्धन से छूटने वाले…

हर स्वार्थ में जीना आसाँ है
परहित में तो जीना है मुश्किल
सत्कर्म को करके सत्कर्मी
सुख चैन की नींदें लाते हैं
बन्धन से छूटने वाले…

खा पी के मौज उड़ा लेना
ये पशुओं वाला जैसा जीवन है
दिन-रात पड़े जो विषयों में
दु:ख पाते और भरमाते हैं
बन्धन से छूटने वाले…

सुखवालों के प्रति होते दुखी
दुखियों के दर्द में जो हँसते
इन्सा हो के भी ऐसे जन
कुछ हैवानों से होते हैं
बन्धन से छूटने वाले…

जो वेद का चिन्तन मनन करे
वो अमृत रस पी जाते हैं
मन इन्द्रियाँ वासना जिनके वश
वो ईश्वर के हो जाते हैं
बन्धन से छूटने वाले…

बन्धन से छूटने वाले जन तो
परमानन्द को पाते हैं
सत्कर्म के अपने जीवन से
इस लोक से वो तर जाते हैं

Bandhan se chhootne waale

Bandhan se chhootne waale jan toh,
Parmanand ko paate hain.
Satkarm ke apne jeevan se,
Is lok se woh tar jaate hain.
Bandhan se chhootne waale…

Har swarth mein jeena aasaan hai,
Parhit mein toh jeena hai mushkil.
Satkarm ko karke satkarmi,
Sukh chain ki neendein laate hain.
Bandhan se chhootne waale…

Kha pee ke mauj uda lena,
Yeh pashuon wala jaisa jeevan hai.
Din-raat pade jo vishayon mein,
Dukh paate aur bharmaate hain.
Bandhan se chhootne waale…

Sukhwalon ke prati hote dukhi,
Dukhiyon ke dard mein jo hanste.
Insa ho ke bhi aise jan,
Kuchh haivanon se hote hain.
Bandhan se chhootne waale…

Jo ved ka chintan manan kare,
Woh amrit ras pee jaate hain.
Man indriyan vaasna jinke vash,
Woh Ishwar ke ho jaate hain.
Bandhan se chhootne waale…

Bandhan se chhootne waale jan toh,
Parmanand ko paate hain.
Satkarm ke apne jeevan se,
Is lok se woh tar jaate hain.

Arya Samaj Popular Bhajan's

Arya Samaj Pandit Ji
Arya Samaj Pandit Ji

Arya Samaj Pandit Ji

Typically replies within 5 min

I will be back soon

Arya Samaj Pandit Ji
Hello 👋 Thanks for your interest in us. Before we begin, may I know your Name, Location and Query ?
Chat or Call Us:
chat