Chandigarh

Doobton ko bacha lene waale

 डूबतों को बचा लेने वाले

डूबतों को बचा लेने वाले,
मेरी नैया है तेरे हवाले। 

लाख अपनों को मैंने पुकारा, 
सब के सब कर गए हैं किनारा।  
और कोई ना देता दिखाई,  
सिर्फ तेरा ही अब तो सहारा। 
कौन तुझ बिन भंवर से निकाले,
मेरी नैया है तेरे हवाले।
डूबतों को बचा……

जिस समय तू बचाने पे आवे ,
आग में भी बचा कर दिखावे। 
जिस पे तेरी दया दृष्टि होवे, 
कैसे उस पर कहीं आंच आवे।  
आंधियों में भी तू ही सम्हाले ,
मेरी नैया है तेरे हवाले। 
डूबतों को बचा……

पृथ्वी आकाश पर्वत बनाएं, 
तूने धरती पे दरिया बहाए। 
चांद सूरज करोड़ों सितारे , 
फूल आकाश में भी खिलाएं।  
तेरे सब काम जग से निराले ,
मेरी नैया है तेरे हवाले। 
डूबतों को बचा……

बिन तेरे चैन मिलता नहीं है ,
फूल आशा का खिलता नहीं है। 
तेरी मर्जी बिना तो जहां में , 
पथिक पत्ता भी हिलता नहीं है।
तेरे बस में अंधेरे उजाले,  
मेरी नैया है तेरे हवाले।

डूबतों को बचा लेने वाले।  
मेरी नैया है तेरे हवाले…. 

Doobton ko bacha lene

Doobton ko bacha lene waale,
Meri naiya hai tere hawale.

Laakh apno ko maine pukaara,
Sab ke sab kar gaye hain kinaara.
Aur koi na deta dikhai,
Sirf tera hi ab toh sahaara.
Kaun tujh bin bhanwar se nikaale,
Meri naiya hai tere hawale.
Doobton ko bacha…

Jis samay tu bachaane pe aave,
Aag mein bhi bacha kar dikhaave.
Jis pe teri daya drishti hove,
Kaise us par kahin aanch aave.
Aandhiyon mein bhi tu hi sambhaale,
Meri naiya hai tere hawale.
Doobton ko bacha…

Prithvi aakash parvat banaye,
Tune dharti pe dariya bahaaye.
Chaand suraj karodon sitaare,
Phool aakash mein bhi khilaaye.
Tere sab kaam jag se niraale,
Meri naiya hai tere hawale.
Doobton ko bacha…

Bin tere chain milta nahin hai,
Phool aasha ka khilta nahin hai.
Teri marzi bina toh jahan mein,
Pathik patta bhi hilta nahin hai.
Tere bas mein andhere ujaale,
Meri naiya hai tere hawale.

Doobton ko bacha lene waale.
Meri naiya hai tere hawale…

Arya Samaj Popular Bhajan's

Arya Samaj Pandit Ji