Kolkata

Bharosa kar tu Ishwar par

भरोसा कर तू ईश्वर पर

भरोसा कर तू ईश्वर पर,
तुझे धोखा नहीं होगा ।
यह जीवन बीत जायेगा,
तुझे रोना नहीं होगा ॥
भरोसा कर ……

कभी सुख है कभी दुख है,
यह जीवन धूप-छाया है ।
हँसी में ही बिता डालो,
बिताना ही यह माया है ॥
भरोसा कर ……

जो सुख आवे तो हंस लेना,
जो दुःख आवे तो सह लेना ।
न कहना कुछ कभी जग से,
प्रभु से ही तू कह लेना ॥
भरोसा कर ……

यह कुछ भी तो नहीं जग में,
तेरे बस कर्म की माया ।
तू खुद ही धूप में बैठा,
लखे निज रूप की छाया ॥
भरोसा कर ……

कहां पे था, कहां तू था,
कभी तो सोच ए बन्दे !
झुकाकर शीश को कह दे,
प्रभु वन्दे ..प्रभु वन्दे ॥
भरोसा कर ……

Bharosa kar tu Ishwar par

Bharosa kar tu Ishwar par,
Tujhe dhokha nahin hoga.
Yeh jeevan beet jaayega,
Tujhe rona nahin hoga.
Bharosa kar…

Kabhi sukh hai kabhi dukh hai,
Yeh jeevan dhoop-chhaya hai.
Hansi mein hi bita daalo,
Bitaana hi yeh maaya hai.
Bharosa kar…

Jo sukh aave toh hans lena,
Jo dukh aave toh sah lena.
Na kehna kuchh kabhi jag se,
Prabhu se hi tu keh lena.
Bharosa kar…

Yeh kuchh bhi toh nahin jag mein,
Tere bas karm ki maaya.
Tu khud hi dhoop mein baitha,
Lakhe nij roop ki chhaya.
Bharosa kar…

Kahan pe tha, kahan tu tha,
Kabhi toh soch ae bande!
Jhukakar sheesh ko keh de,
Prabhu vande… Prabhu vande!
Bharosa kar…

Arya Samaj Popular Bhajan's

Arya Samaj Pandit Ji